My innocent attempt to deflate my frustration about the dirty politics that is going on in our country. Also, let me warn you that my Hindi can sometimes be as messy as the politics in our country ;-]
Aaj tak toh vaade sabhi ney kiye
Aaj tak toh vaade sabhi ney kiye
Par yeh to dekho kisne kitne nibhaye
Pakki sadakein, subsidised rashan pani
Khokhle saare vaadein, jhoothi tassali
Saanth saalon se buss yeh chala aa raha hai
Aam aadmi ek pal ki khushi ko tarass raha hai
Bane hai neta sabse vote kharid kharid kar
Kisiko chand paise, toh kisiko bottle de kar
Samasyaoon se bhara pada hai hamara desh
Isse aur nichod rahe ye neta badal badal bhes
Iss yudh mein dikthe sirf bhai, behen, beta
Buss aapas mein hee ulajha aaj ka neta
Arey desh ka, prajatantra ka kuch toh socho
Apni jebe bharna bandh, pragati ka kuch karo
Abb kuch hoga, iss aas mein nikalte paach saal
Par aaj bhi udaas karta hai, iss raajniti ka sawaal
Aur kitna kare intezar, uss neta ka bharosa
Jisne har baar, har kadam par humey loota
Kuch karo, yeh desh chilla raha hai, mujhe suno
Arey apne hi dharti maa ke lalchi saudagar na bano
Abb nahi hota bardaash, band karo goondaraaj
Nangn na karo isse, Bharat ki rakho kuch toh laaj
Inse nahi hota, to hum hee kuch kar jayenge
Sochenge sabhi tabhi kuch saccha kar payenge
Karo sahi chunaav, do ek pramaan sacchayee ko
Hamara har ek vote kimti hai, isse vyarth na karo
Hope meri Hindi padd kar tum sab jaag gaye ho :-D
Comments
Still awake :-))
Regards,
Shailja
Wonderful lines
Paach saha blogs tapatap udavale vachun tujhe. Ani hindi ekdum chakachak.
Jamtay jamtay ani halu halu bharpur jamel.
Chal bye,
Pradnya
Hmmm... Voters toh jAgenge... netAon kA kyA hogA? :(